Internet Service fraud- Magnum techno. pro. data entry job work from home

Name of Complainant Shiv Shakti Shrivastava
Date of ComplaintJune 5, 2019
Name(s) of companies complained against ,
Category of complaint Internet Services
Permanent link of complaint Right click to copy link
Share your complaint on social media for wider reach
Facebooktwitterredditpinterestlinkedinmail
Text of Complaint by Shiv Shakti Shrivastava:

Name-SHIV SHAKTI SHRIVASTVA

Sir mujhe data entry ka job ke liye phone aaya tha jiska mobile no. 7284906540 name Rinkal Date Operator bataya aur mujhse bola gaya ki 700 form 7days me fill karne hai iska 3999rs charge lagega lekin bo apke income se kat liya jayega or mujhe mera income btaya ki 30 rs per form or 700 form ke 21000 rs milega lekin bola ki apko ek agreement pe signature or apna ek photo bhejna hoga apke mujhe parne ko v nhi mila or unhone agreement pe mera signature or photo chipka diya or ab mujhe blackmail kr rhe hai fir  Maine pehle din me 2 form fill Kar diye . Fir Meri I’d block Kar Diya aur jab Mai 72650 45000 per call kiye to bole app ki I’d block Kar di gayi hai multiple login hone ke reason se.

Fir Maine site ke below customer care no. Per call kiya to mujhse bole ki app ki id block ho gayi hai aur app ko 7999 pay karna padega fir app apna project cancel karwa dijiye ya again start Karo . Tab Maine inkar Kar Diya to mujhe dhamkiya Dene lage aur bola ki,or bola ab ap legal ke liye tyar raho, app ko Rajkot gujrat court aana padega. app ke uper case ho jaayega. Mai dar Gaya aur Mai ek poor family se hu Mai in sab me nhi padna chahta hu . Phir fees 7999 ka paid kar de aur unhone meri id phir chaaloo kar di. aur pura kaam kar diya. Linkeside Star Enterprises A/c No.-6715028580 IFSC CODE-IDIB000A130 par 8000/-rs payment kiya hai.

699 out of 700 ki entry complete kar di.Phir mujhe ek entry ko complete karne ko kaha gaya nahi to dhamkane lage ki appko ko court aana padega aur meri id block kar de. Mr. Dipesh ji ne phone(Mobile-7046110330) kar phir unhone mujhe option diya ki 12500 refundable amount ya phir 10500 not refundable amount payment karne ko kaha gaya. maine na kaha to dhamkane lage. maine socha kau kanooni jhanjhat me pade maine. phir unohone mujhe Xcel Network ke account no.36793882414 par payment karne ko kaha. phir 12500 payment kar diya.Dipesh ji ne ye bhi kaha jobhi error hoaga use sudharane ka ek mauka bhi diya jayega.Dipesh ji ne kaha ki mai jo qc report mere paas hai usme appka 623 form correct hai. Aur jab maine report check kiya to lagbhag sari report galat bata raha hai.

Aaj maine 04.06.2019 ko phone kiya 72650 45000 to muje phir se dhamkane lage aur ek message(sms) bheja. fir kuchh der baad call aya Ajay Vir Singh no. 7046220266. Se or kaha ki main advocate rajkot se bol raha hu apke upar legal cas kiya ja raha hai agar ap chahte ho ki legal action na ho to apko agreement cancel fees bharna hoga 37355 rs maine socha ki fraud hoga to maine keh diya ki jo karna hai kr do, uske 2 din bad sms ya mere pas icourt karke usme blow mention hai

Case Status – Approved
Case number – UEL07/2019/319
Filing number -2019/465
FIR Number – AGR/BR/0911/LC899
Under Act – IPC 73, 74
Iske bad or sms aye tha
Your Case Has Been Registered At Vadodara District Court SaiNath Road,Old Padra Road, Paris Nagar Diwalipura, Vadodara, Gujarat 390007
Case Type – Breaching Contract Of MagnumTech.

Case Status – Approved
Petitioner:-Shiv Shakti Shrivastava

Case number – UEL07/2019/319
Advocate Name – Ajay Vir Singh

Filing number -2019/465
FIR Number – AGR/BR/0911/LC899
Under Act – IPC 73, 74 ,420 ,465
Please Clear The Project Loss Amount Of 37355 INR To Avoid Further Legal Issues
Or mujhse 37355rs bharne ko keh raha. Agar aj tak paise nhi bhare to bad me apko court ana hoga barna 60000 se 70000rs bharna hoga, sir please ise solve kr

Image Uploaded by Shiv Shakti Shrivastava:

Internet Service fraud- Magnum techno. pro. data entry job work from home

One thought on “Internet Service fraud- Magnum techno. pro. data entry job work from home

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *